Humari Guftagu!!


Ye teri meri guftgu, ek ittefaq nahi to kya hai
Sarhadon me lipte
Mazhabon se alag hote
-do jism ye humare-
 ek rooh nahi to kya hai?

Humari khamoshiyon me bolti ye duniya
Humari justju pe hasti ye duuniya
Har rang ke ye kirdaar aur in ke jazbaat
Mehez ek chhal nahi to kya hai

Tere lab pe jo ye lafz hain
Teri nazron me chamakte jo ye saaye hain
Teri angdaiyon me jo ye gustakhiyan hain
Ye meri bandagi nahi to kya hai

Jane kisse ye subah hai
Na jane kisse ye sham hai
Kissay apne kis kis se kya kahien
Ye yaadien tamaam nahi to kya hai
Teri meri guftgu me bittati ye zindagi
Ik haseen kwhab nahi to kya hai


-Do jism ye humare – ek rooh nahi to kya hai
Ye teri meri guftgu; ik ittefaq nahi to kya hai?

Dedicated to my bestst bud Siddharth and to his love story!!


Copyright,  © Jayendra Dubey, 21st September , 2012
Protected by Copyscape DMCA Takedown Notice Infringement Search Tool

Comments

Popular Posts