Ek humsafar ki talash!!
jane kya vo baatien thi jo kahi nahi gayi
bas do pal ko yun lagta, ki hota koi, to is dil ke bhi jazbat khulte;
jo raaz dabe hain kanhi sirhane
kuch aasun jo lage ab sab purane
jo hota vo shaqs
to husi ke kisse kabhi in lab pe bhi khilte
Ek tarazu pe tol - na jane kya kaha esa sabne
ki lagta - har shaqs kuch mujhse paraya sa hai;
Jaani Anjaani- Sochi Samjhi, sari in baaton pe lagta
ki kuch adhoora sa hai
Adhoora se lagte ye sapne
adhoori si lagti ye zindagi
kanhi thithak k ho khadi - ye sochti
ki aakhir esa kya hai, jo dhai un lafzon se hi hai sirf juda
In cikhate sannaton se lipti bheed,
mehez ek itefaaq hai,
jo nakhs nahi in aankhon me,
jo shaqs nhi in kitaabon pe,
usse lagta koi rishta ,
dil ke kareeb, behad kareeb
Kayi dekhe - andheke cehron me
main aur mujh sang ek humsafar ki talaash!!!
Copyright, © Jayendra Dubey, 9 Jan , 2012

Comments