Aahtien

Tera Zikr, Teri Aahtien
Sab ek si hi hain;

Sukhe labon pe ye pyaas
Tere Aane ki aas si hain;

Band palkon pe theri ye boondien
tere yaad se hi hain;

Panno ke antt pe phaili ye syaahi
tere na hone ki gawahi se hi hain;

Meri ruh ki mere Abr pe ye jalan
teri berukhi se hi hain;

tere vaade tere mazak 
sab ek se hi hain;

Rasmon ko- In riwazon ko- caahat ki tasveer se jodna
pyar me ye bebuniyaad si baatien
teri hi un baaton se hi hain;

Tera tassuvar, Teri yaad
Ab sab ek se hi hain;

lipat saaye se chalta, Roshni se ghabraya ye jism
Tere kabhi ho ke ab na hone se hi hain;

sthir aankhien jhooti muskurahtien
teri un mohobbaton se hi hain;

TERI CAAHAT TERA DHOKA
SAB EK SE HI HAIN!!!!!
Protected by Copyscape DMCA Takedown Notice Infringement Search Tool


Copyright,  © Jayendra Dubey, 25 Jan , 2012 

Comments

Popular Posts