Uljhanien

Is tasveer se jud ke jaana ki such aakhir kya hai
dhundhali yaadien, bojhil saason me aakhir samanta kya hai
hawa ke jhokien, jo kabhi neend ki thapki dien ya kabhi nami, aakhir inki majboori kya hai
In sankre rasston se gujarti jondagi gar kanhi tham jaaye, to thamne ka sila kya hai
Apne-Begano ki pehchaan jab ek si lagne lage to aakhir uski vajah kya hai
us gum se nafrat ho hi kyun jisne kabhi akelapan na diya 
is khushi ne kab kisi ka akele me saath diya hai
gum aur khushi me uljhi ye sab baatien, vaastav me kya hai
jab muskuraahat in aakhon ke paani ke saath nache to uski vajah kya hai
ho sakta hai ki zindagi me vo mukaam bhi aaye
ki jab ho har sawal ke jawab
jawabon me lipte har khwaab
aur khwaabon se suljhti ye Uljhanien!!

Copyright, Jayendra Dubey, 03 Nov, 2011

Comments

Popular Posts