khwaishein
Kabhi in kwhaishon ki, maine, udaan sochi nahi
har su ek kone me simat
kabhi numaaish ki baat sochi nahi!!
mehfil me rang jamane ki aadat bhi nahi
lekin koi hus de gar do baaton pe to usse koi ranjish bhi nahi
hai jo mera vo rahega mera
jo cheen le koi usko mujhse ; to isme uski saajish bhi nahi
sabke sadke me sir jhuka lun main
lekin jo caho ki darr jaun main tumse; to uski bhi koi gunjaaish nahi
Alfazon k matlab na janu main
bayan ye yaadon ki tasverien mujhse hoti nahi
is baarish me bheeg to lun main
in baharon me jhoom to lun main
suraj niche baith gunguna to lun main
par rab se shikvae sabko jaadoo lagte nahi
hus le duniya meri khamosi pe
mujhko tujhse baer nahi
tujhpe bhi koi bandish nahi
hai ye mera khel to isme meri aazmish hi sahi!!
Kabhi in kwhaishon ki , maine, udaan sochi nahi!!!
Comments