Hadien
Jo utarta vo ruh me to naseeb ko na kosta..
Jo aata maiin ghar ki dehliz me, to dur ke darakhton ko na kosta..
Zamazne ki zung ka byura kya dun,
Jo girte do boond aanson ke kisi khushi me, to in aakhon ko na kosta...
Reze Reze me joo gum hai usko knha sametun,
Jo zarre hote noor noor to in rezon ka na kosta..
Seher se lipatti is shab ko na kosta..
Patton si tutti in saanson ko na kosta..
Jo ho jaati roshni ek chingaari se,
to is dil gamon ko na kosta...
har ek shaqs ko gale lagata, har ek mehfil me Jashn manata,
Jo hota dard kum jhooti husi se to in muskurhaaton ko na kosta...
Bitte lamhon me jina sikhta, guzarte palon se ulajhna sikhta,
Aa jaate jo bite pal waaps, to main inghadiyon ko na kosta..
MITTI ME DAFAN HO JAATA MAIN KHAAMHOSH,
CEEKHTI NA JO YE KHAMOSHIYAN, TO IS SANAATE KO NA KOSTA....
Copyright, Jayendra Dubey, 04 Jan, 2011
Comments
loved it......
HADIEN; it's a really nice title nd it itslf is a heavy word.
I must say..........
....................u kept d gravity alive....!!!!
once again gr888 wrk
Its really nice...
but sky has no limits n u do so.....
remember those lines frm "main zindagi ka saath"
gum aur khushi me farq na mehsus ho jnha, main dil ko us mukaam pe lata chala gaya...
na tod Hadein sitam ki Zalim
yaheen peh roz e hisab hoga...
Keep it up ..